Guzra hua zamana, aata nahin dubara
Haafiz khuda tumhara, haafiz khuda tumhara
Guzra hua zamana, aata nahin dubara
Haafiz khuda tumhara, haafiz khuda tumhara
Khushiyaan thi chaar din ki, aansoo hain umr bhar ke
Tanhaaiyon mein aksar, royenge yaad kar ke
Woh waqt jo ki humne, woh waqt jo ki humne
Ik saath hai guzaara
Haafiz khuda tumhara, haafiz khuda tumhara
Meri qasam hai mujhko, tum bewafaa na kehna
Majboor thi mohabbat, sab kuchh padaa hai sehna
Toota hai zindagi ka, toota hai zindagi ka
Ab aakhiri sahaara
Haafiz khuda tumhara, haafiz khuda tumhara
Mere liye sehar bhi, aayi hai raat ban kar
Nikla mera janaaza, meri baraat ban kar
Achha hua jo tumne, achha hua jo tumne
Dekha na ye nazaara
Haafiz khuda tumhara, haafiz khuda tumhara
Guzra hua zamana, aata nahin dubara
Haafiz khuda tumhara, haafiz khuda tumhara