Guzra hua zamana, aata nahin dubara Haafiz khuda tumhara, haafiz

5 days agoAria v1
Guzra hua zamana, aata nahin dubara Haafiz khuda tumhara, haafiz khuda tumhara Guzra hua zamana, aata nahin dubara Haafiz khuda tumhara, haafiz khuda tumhara Khushiyaan thi chaar din ki, aansoo hain umr bhar ke Tanhaaiyon mein aksar, royenge yaad kar ke Woh waqt jo ki humne, woh waqt jo ki humne Ik saath hai guzaara Haafiz khuda tumhara, haafiz khuda tumhara Meri qasam hai mujhko, tum bewafaa na kehna Majboor thi mohabbat, sab kuchh padaa hai sehna Toota hai zindagi ka, toota hai zindagi ka Ab aakhiri sahaara Haafiz khuda tumhara, haafiz khuda tumhara Mere liye sehar bhi, aayi hai raat ban kar Nikla mera janaaza, meri baraat ban kar Achha hua jo tumne, achha hua jo tumne Dekha na ye nazaara Haafiz khuda tumhara, haafiz khuda tumhara Guzra hua zamana, aata nahin dubara Haafiz khuda tumhara, haafiz khuda tumhara