bhawishya ke liye chintaaye hain bahut,
chalo aaj vartmaan me muskurate hain,
Ek din zindagi se kuch pal chura ke,
chalo Aaj kahi, ghoom ke aate hain...
Aate hain, tumhare ghar pe, tumhare kiwaad khat-khataate hain
niklo jo ghar se bahar tum, chnd pal ruk ke tumhe nihaarte hain,
pehle chalke, mandir ke dwaar ho aate hain,
prabhu se prem, sahyog aur ashirwaad le aate hain,
kuch pal bhaktimay ekaant me bitaate hain,
chalo Aaj kahi ghoom ke aate hain,
prabhu chintan ke baad ab pet pooja ki baari,
disha humne mast khaau gali ki nihaari...
meethe, teekhe, chatpate swaad ke chatkaare hain,
chhole bhathure, pav-bhaaji, rajmaa, paneer, pyaare hain
chaat-dosa, jalebi-momos, panipuri sab karare hain,
dono ki haalat aisi ki, janmo ki bhookh ke maare hain
nazro me nazre daal ke, chalo shart ek lagate hain
kam khayega wo haarega, bill usse pay karwate hain
Ek din zindagi se kuch pal chura ke,
chalo Aaj kahi ghoom ke aate hain...
pet pooja hui tagdi, meethe me kha ke rabdi,
dono ke the pet bhare, aur baatein feki badi badi...
masti mazaak aur hasi muskaan, ant me khaayien hum meetha paan
batein hui kayi muddo par, samay ki gambhirta ko jaan,
par chand pal baad the topic be like......
ummm....doraemon better ya.... shinchan???
ab chale hum theatre ki or, ki koi movie dekh ke aate hain,
ek serious movie ke characters ki funny acting karwate hain
ajeeb se chehre bana ke ek dusre ko chidhate hain,
meri nahi iski galti hai, ye jhuthe ilzaam lagaate hain
Ek din zindagi se kuch pal chura ke,
chalo Aaj kahi ghoom ke aate hain,
aake ghar pe thak haar ke... chalo ek mast si chai banate hain
din bhar ki thakaan ko chalo udan chu kar wate hain
dosti ki chaashni ke sath, ullhaas ke kuch ubaal lagate hain,
chai chhaan ke sath me baith, is dhalte suraj ko niharte hain
aur khatti meethi namkeen yaadon ke nagme sunaate hain
Ek din zindagi se kuch pal chura ke,
chalo Aaj kahi ghoom ke aate hain,
ab bahut hua vishraaam, ab thodi shram ki baari,
hum banaate hain roti , tum kaato tarkaari,
dheemi aanch par chalo daal chadhaate hain
teen seeti ke baad gas band kar dena,
hum zara... washroom hoke aate hain...
haath dhul ke aana... hygiene matters
ab bani sabzi, aur kat bhi gaya salaad ,
prem se bana khana, na hua koi vivaad
ab thoda bhog , hum prabhu ko lagate hain
fir thaali me paros kar, daba ke khaate hain
khaya itna humne ki na saans rahi baaki,
sang dhul ke bartan, katori thaali chamchamaati
is garmi me raahat, fridge se icecream ab laate hain
mast baith ke scale se exact half karwaate hain
Ek din zindagi se kuch pal chura ke,
chalo Aaj kahi ghoom ke aate hain,
[Outro]
ab chal ke chhat pe baith taaro ko nihaarte hain,
wo nana, wo nani, wo baba ki yaad dilaate hain
taare is akaash me jab chamchamaate hain
din bhi gaya mast, ab chalo so jaate hain
Ek din zindagi se kuch pal chura ke,
chalo kabhi aise ghoom ke aate hain...